Saturday 2 January 2016

मुक्काम

mukaam

Kisi kavi ne bahut hi khoobsurat likha hai...😊🙏
Zindagi me apna ek mukaam hona chaiye...
Jeeya iss kadar ki apna naam hona chaiye...
Har taraf har gali me uljhane intezar kar khadi hai...
Par usse samaj kr ladane ka khumaar hona chaiye...
Manzil ki kashti banayi nhi terti pani me .
Usse har safar lejaya jata hai toofani me..
Mushkile ati hai samne ladee toh guzar jati hai ar na ladee toh le guzarti hai...
Apni zindagi se bhi khoob seekh raha hu...
Mukaam ki talash me fir raha hu...
Manzil toh khade apna intezar kar rahi hai...
Me khada har manzar talashte hua mil raha hu...
Hawa k jhoke chu kar nikal jate hai...
Kitabo k pane sisakar badal jate hai...
Umar haste hua kat jati hai..
Ar khushiya dhundo toh aajevan varna maut tak nahi ati hai...
Sapne dekho din raat par unhe poora karne ka hausla rakhna...
Taklif mango khuda se harbaar par usse ubharne ka jazbaa rakhna...
Dekhna fir vo waqt bhi ayega,
pyasee ke pas chal samandar bhi ayega...
Vo bhi ky manzar hoga pane ka..
Manzil bhi milegi ar usse milne ka maza bhi ayega...

No comments:

Post a Comment